Saturday, 17 December 2011

A CADET's FIRST LETTER TO HIS ......HOME


Abu ji , ami aji , beenish , maryum ,umer  aur mehwish, ASSALAM-O-ALAIKUM
kia haal hain ?
Umeed hai aap sab log khariat say hain kuon k mai Allah k fazal say bilkul b khariat say nae hun.
Kia ? mje pata hai abu keh rahay hun gay
“iss sheetan ko wahan ja kar b chain nae aa raha, maa ko tang kar raha hai ulti sedhi batain kar k”
Par nae abu ji , sach mai …umer aya tha salman k sath mj say milnay. Pehlay pehal tw dono nay pehchanany say hi inkar kar diya. Kehnay lagay
“bhai ham nay tw 2 ta^ngu wala janwar bheja tha ye 4 ta^ngu wala kisi aur ka hai.”
Asal mai pehlay hi din senior nay order kar dia k jab tak kaha na jae 2 ta^ngu par insan k bachu ki tarha nae chalna. Pehlay pehlay mje laga k mazak kar raha hai par oss ki ankho^n mai khoon dekh kar mje andaza ho gaya k sab meri tarha mazakia nae hotay. Bas phir kia tha, jeetay ji 4 ta^ngu walay janwar ban gaye. 2 tangain tw pehlay hi thien …baki dono arms ko b tangain bana dia. Aur mai abi tak yahi soch raha hun k akhir aesa kuon?
Khair agay ka haal sunain. Senior k kehnay par jab mai sedha khara howa tw tab b salman aur umer na pehchan pae, kehnay lagay
“bhai ham nay tw acha khasa hatta katta, gora chitta, khobro kisam ka jawan bheja tha ….ye chocha kahan say lay ae hoo wo b tawway k rang jesa”
Haye ham hi jantay hain nazak dil nay tw osi waqt totnay ki koshish ki par phir pata chala k kanch ka dil tw sirf kahanio aur dramo mai hota hai asal mai tw dil kuch aur hi hota hai.  Kher qissa mukhtasir,mai nay tang aa kar aur bahir ragra khanay k dar say, bachpan say lay kar aaj tak... jab jab umer ki kutt lagai thi sab yaad karaya aur salman ko wo din jab ham sab nay mill kar ……..kher akhir kar dono nay mje pehchan lia.
Umer aur salman dono bht hairan the k college mai tw mai jesa b tha…ander say kitna masoom nikla hun.  Meri miskin si shakal par dono ko tars bilkul b nae aya bilkul kambakht^on ki pori ki pori batteesi bahir thi.


Kher guzarish ye hai k aglay haftay dono ko phir say bhej dejiye ga kam az kam is tarha chand ghantay sakoon say bethnay ko mil jatay hain wo b chatt k nechay. Aur mje apna aap insaan lagna shru ho jata hai. Warna mai tw bhol hi gaya tha k mai b aik insaan hun aur apna aap kutta kutta lagna shru ho gaya tha. Jitna ghussa agr koi ap ko kutta bolay tw ata hai utna hi jab kuttay say insaan banain tw khushi mehsos hoti hai.
Han aik khush khabri hai. Wo ye k mera naam academy football team k liye chala gaya hai. Aur jald hi practice session shru ho jain gay. Bas meray liye dua karain k mai yahan b khob naam roshan karu. Mera commander b bht khush tha pori squadron k samnay os nay kaha
“Gentlemen try to be like him. He is my horse ”

Pehlay tw mera mu khulay ka khula reh gaya. Kia …ghora ….mje jeetay ji ghora bana dia ab. Kher par ye b bohat khushi ki baat hai. Yahan 2 hi tarha k cadets ki categories hoti hain ….ya tw wo gadhay hotay hain ya ghoray. Aur ghora tw aik azeem janwar hai. Tw mai khush hun k mai ab say aik azeem janwar hun. Aesay lag raha hai k achoot class say Brahman class mai a gaya hun.
Daikhain ab …zindagi ka ye mera pehla khatt hai jo k mai examination hall k bahir baith kar likh raha hun. Aur wo aap logo ko. Kitni tamanna thi meray dil mai k KISI ko khatt likhu, lekin har bar sharafat aray aa gai. Aur ab likh raha hun tw……..
Mai tw wesay ab b khatt na likhta, k ab khatt ka zamana hi kahan hai. Lekin kia karu abi study time chal raha hai aur mje sakht nend a rai hai. Masroof rakhnay ka sab say behtar tareeka ye nazar aya kuon k agr mai sotay howay pakra gaya tw phir say gadhu mai shumar kar dia jao ga.
Han yaad aya…jatay jatay kuch chezain likh raha hun wo bhijwa dijye ga
(things for some reason have not been included in this post.)
Aap sab apna khayal rakhye ga. Waqt kam hai iss liye bas yahin tak.

                                                                Apka chaheeta
                                                                                ALLAH HAFIZ





P.S: Few names and some personnel dialogues have been either removed or changed in order to curtain the personnel life of the writer.

4 comments: