Kahani zara purani hai, koi 3 ya 4 saal nae, bilkay thori zyada purani. Jab mai chota tha, ye nae k ab mera shumar bari umer k logo mai hota hai, abi b ham chotay hi hain aur rang barang ki PARYU^n aur TITT^LIUn mai khelna abi b hamai bohat pasand hai, par oss waqt ..
ham zara zyada chotay the.
Aur itnay masoom k TITT-liu say ulfat ka hamain pata nae tha, jab kahin koi dikhi mu mor lia. Ab sochtay hain
Haye zalim kuon kia, na oss waqt TITTliun ko yun masalltay na ab hamara bagh ujra hota. Han tw kahani hai Jhelum ki. Subah k 4 bje, nanna abby khullay aasmaan k nechay, apnay nano abu k ghar ki chatt par, aik palang par para soo raha tha. Raat najanay kab taray gintay gintay osay nend aa gai. Taray – jo oss k liye baray dil-chasp the. Karachi jesay shehar jahan awal tw khula asmaan dekhna naseeb kam hi hota hai, aur agr hoo jae tw taray nahi dikhtay, oss k liye ye aik dil-chasp khel hi tha. Sehar ka waqt ho chuka tha aur dore ufaq par halki halki safaidi andhera mai apni jaga bana rahi thi.
Nanna abby khuwabo mai TITTliun ko kuchalnay mai masroof tha k achanak awaz ai …..
KUKKROO KAROOn ….
KUKKROO KAROOn …….
Wo harbra kar oth gaya, chatt say nechay sehan mai jhank kar dekha to baba ji k murghiun k kandhan k becho beach, aik murgha apnay seena tanay, gala phar phar kar chilla raha tha
KUKKROO KAROOn ….
KUKKROO KAROOn….
Koi 6 murghiun k beach mai aik murgha seena tanay baray fakhar say subah ki Azan day raha tha, aur ass pas ki murghian ASHK bhari nighahoo^n say osay dekh rahi thien.
“kia khush qismat murgha hai, kam bakht ko aik sath 6 murghia mili hain, ab show mar raha hai”
Wo ye soch hi raha tha k babi ji andarooni kamray say bahir nikal ae.
“Abdullah betay oth gaye, a jao shabash fajar ka waqt hoo gaya hai. Chalo ao ham tmhain masjid lay kar chaltay hain”.
“Baba g laikin aapko kesay pata k fajar ka waqt hoo gaya hai, abi azaan tw nae howi.”
“Beta yahan say masjid thori dore hai aur wahan bijli ka masla hai, laikin murgha bilkul waqt par Azan deta hai aur ham isse say othtay hain”
Wo apnay nana abu k sath ghar say bahir masjid ki janib chal para. Wo hairan tha k kesay bhala aik murghay ki Azan par sab log jag gaye the. Bahir chehal pehal shru hoo chuki thi, jo log Masjid mai janay say qasir the wo apnay kamo ki taraf ja rahay the, zindagi wahan jag othi thi, AIK MURGHAY KI AZAN say.
KUKKROO KAROOn say ……
Aj 13 saal k bd mai aksar yaad karta hun k kuch tw waja hai, k hamaray yahan MULLA loudspeakers par rozanay fajr par Azan detay hain, par najanay kuon phir b Awaz nae ati, aur ati hai tw wo taseer nae hoti bistar say nikal kar Masjid ki janib qadam bhar jain.
Akhir koi tw waja hai. Naam nehaad MULLA jin ki waja say hamain Deen-e-Islam mai mukammal tor par dakhil ho jana chahiye, ham inhain dekh kar otna hi dore bhagtay hain. Lambi lambi dharian, dil^o mai Quran ki ayaat hifz kiye, hath mai tasbeeh pakray jab ye masjid say bahir nikaltay hain tw kuon ham inn par rashk nae kartay. Jhoot , dhooka, faraib, nafrat ki barzargi, firqa wariat aur na janay kia kia phila kar inn logo nay hamaray dil^o say Sunnat pori karnay ki Arzo hi khattam kar di hai.
Jinhain hamaray liye mashl-e-rah hona chahiye wohi diye bhujha rahay hain tw phr kesay abby ko MULLa ki Azaan par jag ae.
Jabhi osay ye mehsoos hota hai k
MULLA KI AZAAN AUR MURGHAY KI AUR ..........
MULLA KI AZAAN AUR MURGHAY KI AUR ..........
the article is writer's own perspective n reader may not agree. more over the subject is not our religious scholars, ofcourse we all respect them, but is centred only around the so called...JAALI MULLA , found in our society.
ReplyDelete