Monday, 21 November 2011

GADHA KON ?



Sir oth jain , 6:30 bj rahay hain …
Hmm acha thek hai, 5 min k bd ana
Sir ..sir…oth jain 6:35 ho rahay hain….
Hmm acha thek hai 10 min k baad ana …
Ye mera roz ka mamool hai. Abi subah ki azan k liye moulvi bistar say nikalta nae hai k meray damage k kisi konay mai aik ajib sa khof taari hoo jata hai. Dil ki darkhan ahista ahista tez ho jati hai, mathay par shikan par jatay hain aur naak thori oper ko charh jati hai, Zehan k kisi konay say koi awaz day raha hota hai ….
“abi aya abi aya ..”
Aur phir wo a jata hai
“Sir oth jain , 6:30 ho rahay hain”
Apnay buddy ki ye awaz mje boht na-guwar guzarti hai. Yun mehsos hota hai k dore kisi gao ki hari bhari faslo^n k beach mai aur chandi laitay taray gin rahay hun aur achanak khareb ki jhari say awaz ae
“dhee^nchu ……dheeen^nchu”
Aur phir chandi mu bana kar ye keh kar chali jati hai
“akhir ye ghada roz yahan kuon a jata hai”
Aaj subah b yahi howa…abi mai chandi k hath b thek say thaam nae paya tha k awaz ai
“Sir oth jain,6:30 ho rahay hain”
“hunh gadha” chandi ki awaz ai
Maine ankhain kholay begair ye keh kar soti chali di
“hmmm acha thek hai, 5 min baad ana”
Wo bechara pata nae kitni bar aya aur mai har bar soti say osay haa^nk deta aur 5 min baad ana ka hukam sadir kar deta
Bila akhir 7 bj gaye… aur phir goya aik dam mai fast track mai aa gaya …bhagam bhag shave, brush, dress change, jotay ….aur akhir mai baray aram aur nafasat say baal banae.
Abi office ki 1970 k zamany ki kursi par thek tarha say baitha b nae tha k boss ki awaz ai
“Abdullah hurry up, see me in my office”
“yes sir, just coming ”
Office mai dakhil hotay hi zannatay dar salute mara, abi hath gira nae tha k boss ki awazz ai
“can u come after 5 min, am on a call with the commandant”
“yes sir, no problem”
“hunh, gadha”
“Sir ap nay mj say kuch kaha”
“nae nae..just see me after 5 min ”
Aur dil hi dil mai boss ki pori nasal par darood bhejta howa wapis apni kursi par a gaya
Aur 5 min baad phir wohi boss ki sooti …aur main !!
Allah Allah kar k sham k 4 bje gadhay aur sooti ka ye khel khatam howa. Apni pori school life mai, chutti ki ghanti bajnay par mai kabbi nae bhaga tha aur ye kasar mai ab bari dil joi say pori kar raha tha. Parking tak ka rasta takreeban bhagtay howay tay kia, andar hi andar dil ko ye samjhata raha
“peechay mur kar mat dekhna warna gadhay ban jao gay”
Unit k gate say nikaltay hi dil ko kuch sakoon howa. Aur ghar kareeb atay hi  dil ki dharkan phir say normal ho gai. main road say service lane par gari pori tarha say muri nae thi k samnay ka manzir dekh kar mera dil kuch baith say gaya.
Bijli k khambay k sath aik masoom aur lachar say gadha bandha, intehai be-chargi say mera mu dekh rha tha.
“bechara pora din malik k agay agay hota hai, thora say halka howa nae aur kamar par ye sooti pari, aur gadha phir say tagram tagram…tagram tagram..”
Maine kuch der oski ankhu mai dekha tu yu^n mehsos howa jesay wo mj say kuch keh raha hoo…
Oski ankhu^n mai mje apnay liye ajib hamdardi mehsos howi ….aur iss hamdardi ke pechay do lafz
“bechara gadha…”
Laa hao laa …mai ghussay say lal peela hoo gaya …
Aik kehar aalood nazar oss GADHAY par dali aur ye bol kar agay bhar gaya
“chal hatt tu gadha”


NOTE:  The article revolves around the life of a common man, reflects what a busy life of today is like, we all are running, our preset goals are like SOOTI”s , the moment we slow down , the fear of losing strikes our back and there we are again ….tagram tagram …! Understand the real purpose of life, cherish it , enjoy every moment of it, for  there is no second life.